Search

Lahsun khane ke jabardasth fayde in hindi

Lahsun khane ke jabardasth fayde in hindi

Lahsun ka estemal sab sabji me kiya jata hai to uskaa swad hi badh jata hai, khane ka svaad badhane wale es lahsun ko khali pet khaya jaye to esse milne wale fayde hairan karne vale hote hain, esaliye ayurved me ese aushadhi mana gaya hai, aaj ke es post men ham apko batane jaa rahe hain ki subah khali pet lahsun khaane se kyaa fayda milta hai.

Lahsun khane ke jabardasth fayde


  • Zukham-khaansi, Asthma, Nimoniya jaisi bimaariyon ko dur karne me lahsun bahut karagar sabit hota hai.


    Lahsun khane ke jabardasth fayde in hindi


Pet ki bimariyo ko door karne ke liye

  • Agar pet se judi bimariyon jaise dayariya aur kabj ko dur karna ho to pani ubalakar usme lahsun ki kaliyan daal le aur khali pet es paani ko piye, aisa karne se sharir se jahrile padarth bhi bahar nikal jate hain aur agar pachan tantr ko sahi karna chahte hain to subah khali pet lahasun ki kaliyan khaye aisa karne se bhojan pachane me madadat milti hai.




Blood preshar ko control kare



  • Blood preshar ke marijon ko rojana lahsun khana chahiye kyonki lahasun blood sarkuleshan ko control karne me kafi madad karta hai.




Danto ka dard door bhagaye



  • Lahsun me dard nivarak gun paye jate hain esaliye dant me dard rahne par lahasun ki kali ko pisakar dard wali jagah par laga le, aisa kuch samay tak karne se dard dur ho jayega aur jhan jnahat ki preshani bhi dur ho jayegi.




Dil ko durust rakhe


  • Dil se judi bimariyo ko dur karne me lahsun kafi madadgar sabit hota hai, kyonki ese khane se khoon ka jamav nahin hota, blood sarkuleshan sahi rahta hai aur heart atack hone ka khatra bhi km ho jata hai.


  • Lahsun ka sevan purane jamane se hi aushadhi ke rup me kiya jata raha hai, eska sevan sehat ko tandarust rakhne ke liye kayi logo dvara kiya jata hai, Lahasun ka estemal sharir ko kayi fayde pahunchata hai lekin kuch bimariyon se grasit logo ke liye lahsun ka sevan khatarnak sabit ho saktaa hai, en bimariyon se grasit rahte hua lahasun kaa sevan karne se sharir ko fayde ki jagah nuksan pahunchta hai, aaj ki post men ham aapko bataaange ki kin-kin logon ko lahasun kaa sevan nahin karnaa chahiye.

Lahsun khane ke jabardasth fayde in hindi

Lahsun khane ke Nukhsan

Blood presure walo ke liye nukhsan

  • Agar aapko blood preshur ki samasya hai to apko lahasun kaa sevan karte vakt savdhani baratni chahiye lahasun kaa sevan aapki nason me blockej ko khatm kar deta hai aur sharir ke metabolijm ko badhane kaa kaam kartaa hai, esse sharir kaa blood preshar kam ho jata hai, agar aap bhi kam blood preshar ki samasya se grasit hai to aapko lahasun kaa sevan bilakul bhi nahin karna chahiye,



  • Lahsun sehat ke liye to bahut acha hotaa hai lekin aise log jo livar ki pareshani se jujh rahe hai, unke livar ke liye lahasun jahar ke samaan kary karta hai, aise logon ko sabji yaa kisi any chij me bhi lahsun ka sevan nahin karna chahiye agar apko bliding se sambandhi samasya hain to apko lahasun ka sevan bilakul bhi nahin karnaa chahiye, chot grasit logo ko lahasun ke sevan se bachna chaahiye, eske alava jin logo ko sans ki pareshani hai yaa jinke naak se khun nikalta hai unhen lahasun kaa sevan nahin karna chaahia,



  • Lahsun ka sevan karne se bleeding ki samasyaa ho sakti hai, agar aap niyamit rup se subah khali pet me lahasun kaa sevan karte hain to ese aap haper tenshan ki samasya se chutkara paa sakte hain, eske sevan se blood sarkuleshan bust hota hai, eske alava agar aap niyamit rup se khali pet me lahasun kaa sevan karte hain to esse apka livar bhi swasth rahta hai, dairiya ki bimari me bhi lahsun ka sevan faydemand hotaa hai, agar aap subah khali pet me lahasun ka sevan karte hain to esse hamara nurvas systam asani se kam karne lagta hai, khali pet me lahasun ke sevan se tanav bhi door hotaa hai.
    Lahsun khane ke jabardasth fayde in hindi


Lahsun khane ke fayde

Bhojan pachane me madadgaar

  • Aisa kaha jata hai ki lahsun khane ke baad bhojan thik ek ghante ke andar pach jata hai aur apna paushtik prbhav dena arambh kar deta hai, eske sath hi yah enti-oxident tatvon ko hamare sharir ke bhitar sokhne lagta hai, amtaur par ham lahsun ka pryog sabjiyon me tadka lagane ke liye karte hai, lahsun me aise bahut se chamatkari gun hote hai jo apko bahut si bimariyon se dur rakhte hai, haal hi me ek resarch me ye paya gaya hai ki agar koi vyakti ek sath panch bhune hua lahsun kha leta hai to apke sharir me aise bahut se badlav ayenge jo apko bahut si bimariyo se bacha sakte hai, apko bata de ki bhuna hua lahsun khane se hamare sharir ki rog pratirodhak shamta badhti hai.



  • Bhuna hua lahsun khane se hamare sharir me cancar se ladne ki bhi shakti aa jaati hai, esse blood preshar ki bhi samasya dur ho jaati hai, sharir se vishaile padartho ko bahar nikalne ke liye lahsun khana bahut hi jyada faydemand hota hai, bhuna hua lahasun khane se apke sharir ka stamina bhi badhta hai, stamina badhne se apke sharir me kayi swasth sambandhi gun bhi aa jate hai, bhune hua lahsun ki ek phali rojana khane se aapki kidni hamesha hi swasth rahegi, eske alava lahsun apko livar ki pareshaniyo se bhi dur rakhta hai, yaani kul milakar kahe to lahsun ka rojana sevan karna apke liye bahut hi jyada faydemand hai.

Post a Comment

0 Comments